Aaya hi nahi humko aahista guzar jana
shishe ka muqaddar hai takrake bikhar jana
taro ki tarha sab ke seene me utar jana
aahat na ho qadmo ki is tarha guzar jana
nashe me sambhal jane ka fun yu hi nahi aya
in zulfo se sikha hai lehra kar sanwar jana
bhar jayenge ankhon me aanchal se bhare badal
yaad ayega jab gul par shabnam ka bikhar jana
har mod par do ankhen yahi kehti hai
jis tarha bhi mumkin ho tum laut ke ghar jana
ye chaand sitare tum auro ke liye rakhlo
hum ko yahi jeena hai yahi marjana
jab tut gaya rishta sar sabz pahado se
phir tez hawa jane hai hum ko kidhar jana...